Hadees
: Huzoor-e-Akram (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Irshad Farmaya,
“Quraan Ka Ilm Haasil Karo Kyun Ki Iski Tilawat Ke Sile Me Tumhen Har Harf Ke
Badle 10 Nekiyan Ka Ajar Diya Jayega”.
Quran-Surah (AL-Anaam): Duniya Ki Zindagi To Aur Kuch Bhi Nhi Siway Khel Aur Tamashe Ke Aur Akhirat Ka Ghar Zyada Achcha Hai Un Ke Liye Jo ALLAH Se Darte Rehte Hai, Kya Itni Si Bat Tumhari Aql Me Nahi Ati... ALLAH Duniya Ki Daulat Use Bhi Deta Hai Jise Wo Pasand Nahi Karta, Lekin Deen Ki Daulat Sirf Use Deta Hai Jisse ALLAH Mohabbat Karta Hai.. JUMA MUBARAK.
Hazrat Ali (Razi Allahu Anhu) Farmate Hai
Ke,
“Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete Toh, Tum Zaroor Ummeedo Aur Umango Se
Nafrat Karte. Aur Hargiz Inn Me Maghroor Na Hote”.
Al-Quran (Surah Taha): Aur Jo Tauba Karle Aur Emaan Le Aye, Aur Achhe Kam Kiye Phir Sidhe Raste Per Chale To MAIN Unko Bakhsh Doonga." Hadees- Nabi Kareem Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hai- - QURAN MAJEED Padha Karo Ye Qayamat Ke Din Apne Pardhne Walo Ke Liye Shafa'at Karne Wala Bankr Ayega. -Maut Ko Kasrat Se Yad Kiya Karo Jo Tamam Lazzat Ko Khtm Kar Dene Wali Hai..JUMA MUBARAK.
The Prophet Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Said: "The Most Perfect Believer In Faith Is The One Whose Character Is Finest And Who Is Kindest To His WIFE."
QURAN:Surah Furqaan- Us Roz Zalim (Afsos Aur Nadamat Se) Apne Hath Katega Aur Khega "Aye Kash Maine Bhi Rasool K Sath Rasta Ikhtiyar Kiya Hota.Haye Shamat! Kash Main Falaa(Gumrah Shakhs) Ko Dost Na Banaya Hota.."
HADEES: Nabi Kareem Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Farmaya- "Insan Ki Paidayesh Se Le Kar Maut Tak Jitni Bhi Takleefen Insan Per Ati Hai, Maut Ki Takleef Un Sab Se Zyada Hai Aur Maut Ke Bad Ane Wale Marahel Ki Takleef Maut Se Kayi Zyada Hai." JUMA MUBARAK
HUZOOR
(Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Farmatey Hain:-
"Jisney QURAN Padha Aur Uspar Amal Kiya, Uske Maa-Baap Ko Qayaamat Ke Roz Ek Aisa Noorani TaaJ Pehnaaya Jaayaga, Jiski Roshni SuraJ Ki Roshni Se Bhi Ziyaada Haseen Hogi."
Jab Suraj Nikle To Ye Dua Padhe- "Alhamdu lil lahil lazi aqalana yaumana haaza wa lam yuhlikna bi zunubina" Tarjuma- Sab Tarife Allah Hi Ke Liye Hai Jis Ne Aj Hame Mauf Rakha Aur Gunaho Ke Sabab Hame Halak Na Farmaya.
Jab Tum Sukoon Ki Kami Mehsoos Karo To Apne RAB Ke Samne Tauba Karo Kyuki Ye Insan Ke Gunah Hi Hai Jo Dil Ko Bechain Rakhte Hai.. Apni Qismat Per Rota Whi Shakhs Hai Jise Sajdo Me Rone Ki Adat Nahi Hoti.. JUMA MUBARAK.
Musibat Ke Waqt Ki Dua Ya Jab Kisi Musibat Ke Ane Ka Andesha Ho.. “Hasbunallahu wa-ni’mal wakeel Wa Alallahi Tawakkalnaa” Tarjuma- Kafi Hai Hum Ko Allah Aur Achcha Karsaz Hai. Allah Hi Per Tawakkal Kiya Humne.